Tuesday 31 July 2007

Pyaari dosti- dedicated to an institution called "friendship"

"Pyari dosti"

Dukh dard bhare es jeewan mein,
Khusiyaan banke aaye ho tum,
Jis savare ki chahat thi hame,
Aas ki kiranoon ko saath laye ho tum….


Parivaar ke sadasya tum nahi,
Par mere dil ke kareeb ho kaheen…
Dil ki har baat tumse bayaan karta,
Tum toh wohi ho jo, mere dil ke khaali soone hisse bharta….


Dhoop se jhulaste es duniya mein, tum ho sheetal chaav,
Meri choti siii khushi mein tum, apni khushi milao…
Sab rishte nate nyochawar hein, teri dosti par yaara,
Saari duniya se mein jeet ta hoon, par teri dosti par mein haara.


Mere dost tere sukh ka mein saathi, aur dukh ka hissedar rahoonga,
Tere ek eshare par, saari duniya se mein ladoonga….
Tu mere jeewan ka atoot ang hai,
Laakh gum aaye jindagi mein, jab tu mere sang hai…


Hamari yaari par duniyawale naaz karenge,
Dost kya, dushman bhi es paak dosti par jalenge…
Koi taakat hame juda na kar sakti,
Sheesh jhukata hoon mein, yeh hamari "pyari dosti"


Aaapka Kavi

Sabse badi sachayee



"Sabse bada sachayee"

Duniya mein sab kuch hai nashwar,
Jo bhi hai, yaheen chod jaoge, chinta na kar,


Sab chale jayenge reh jayegi tanhayee.
Yahi toh hai,, jeewan ki 'sabse bdi sachayee'..


Backpan mein padhayee ki bhag daud,
Youwan ne dastak di, toh ladki ke peeche bhagne ki houd,


Laga ab sab thik hai, toh paise ki kami lagi khalne,
Ab sabun se kahan kaam chalega, chandan chahiye shareer malne..


Phir manpasand saathi dhundne ki chinta,
Khud jaise bhi ho, ladki bilkul jhakas mangta.


Sab kuch paane ki daud mein, kisne jaani jindagi ki gehrayee,
Sab bhul gaye , jindagi ki 'sabse badi sachayee'.


Mein bhi aap logon ka hissa hoon,
Aaj ki aaj dekho, kal ki nahi soichta hoon,,


Par do minto mein mili who seekh,
Pata chala,,vidhta hai data,
hum sab mang rahe jeewan ki bheekh.


Kuch hi kshanon mein jaana maut ki ruswayee,
Yaaron yahi hai jeewan ki 'sabse badi sachayee'


Har pal hum apnon ke liye jeete hein,
Har kaam,, apnon ki khushi ke liye karte hein,


Jindagi ek patli si dor hai,, sambhalo, kya pata kab ho jaye harjayee,
Hamesha yaad rahna jeewan ki 'sabse badi sachayee'
Aapka ubharta kavi