Monday 25 February 2008

meri kavita: "Mera rang de basanti chola"

meri kavita: "Mera rang de basanti chola"

"Mera rang de basanti chola"

"Mera rang de basanti chola"

Har taraf tah enqlaab ka naara,
Bapu ke charkhe ka tha kamaal yeh saaara.
Ab yuva janta ka bhi tha khoon khola,
Sab bole" mera rang de basanti chola…..


Phir nikala ek veer punjab se,,
Ja mila Azad ke gut mein,
East india company kaapti jinki awaaz se..
Bhagat singh tha naam uska,,
man mein jiske azadi ke sapne ne liye hindola,
21 saal ki umr mein kaha"mera rang de basanti chola…..


Kuch kar dikhana ki lalak thi jaagi,
Es yuva krantikaari fauz se, angreji hukumat bhaagi.
Kartoos se bhari rail ko loota,aur garv se who bola
Bharat mata" mera rang de basanti chola…..


Aakhir wioh ghadi aa pahunchi thi,
Khilne se pehle hi who phool murjhane wali thi.
1930, Mar 23 ki who shaam,
Bhagat , sukhdev aur rajguru ne ki desh ke naam…
Us antim ghadi mein bhi,,, " Enqlaab jindabaad" se jail tha dola..
Salaam tumhe mere veeron,,, mera rang de basanti chola…..


An Indian