Thursday, 2 August 2007

Relationships---Rishtey



"Rishtey"


Ek hi dharti par janam hua hamara,
Phir kya hamara, kya tumhara??

Hum sab ensaan hein, nahi farishtey…..
Jeewan mein esiliye awashyak hein yeh pyaare 'Rishtey…….'

Pehla rishta banta maa baap se,
Bachpan toh unhi ki chav mein kat jaata araam se….

Phir aata ek naya daur rishton ka,
Yaar dost bante hein naye, panapne lagta mehal sapnon ka….

Kuch dost ban jaate hein khaas,
Lagta hai, ki unke bin toh ley bhi naa paye sans…

Har sukh dukh ko unse baatein,
Zindagi ki raah par, phool ban jaye kaatein….

Shurvaat hoti hai phir rishton ke naye adhyay ki,
Pavitr bandhan mein mil jaate hein do dil,

Kahani shuru hoti hai, phir nauk jhok aur pyaar ki…
Kuch khatti , kuch meethi hota hai yeh rishta,

Kai janmon ke puny se banti hai yeh jodi,
Aasan nahi, bahut ubhad khabad hai yeh rasta..

Najuk daur se jude hote hein yeh risthey,
Shikayat, gusse ke thodi si maar bhi sah naa payenge yeh rishtey…

Rishtey banana,, bahut hai doobhar…
Jab ban jaye, toh tutne mat dena dilbar…..


Upcoming poet
Sachin Rao

No comments: