"kuch naya karo pyare"
Aaa gaya phir se wohi shukrwaaar,
Jiska tha roj hame entzaar,
Hafte ke paanch din gujar jayenge,
Paanch dinon ki mehnat ke baad, hum ek weekend paayenge..
Microsoft ke en applications bina ab zindagi nahi katati,
Aaj khushi hai toh aaj hi jee lo, yeh duniya kisike liye nahi rukti….
Esi din ka sapna dekhte hein log saare,
Chalo es baar " kuch naya karo pyaare"….
Machine si zindagi ho gayi hai,
Zindagi ki asli khushi na jaane kahan kho gayi hai..
Din mein aadha samay bangalore traffic ke naam kar diya,
Aur bacha kucha waqt es laptop ko de diya,….
Gaadiyon ke beech jitna waqt bitate hein
Kya utna waqt apno ko hum de paate hein??
Chand ko paane ki hod mein, bhool gaye hum chote taare,
Boriyat bhari zindagi chod.. Chalo " kuch naya karo pyaare"…
Khud banaya jo kila, use tod ke bahar nikalo,
Kitne saare rang hai, kuch rang apni zindagi mein bhi bhar lo,,,
Weekend weekend badbadaane se kuch na ho payega,
Office, laptop, ghar aur TV mein hi tu simat ke reh jayega…
Badalo apni rahein, jannat milegi yaheen jameen par,
Aasman mein hi nahi, taare milenge tumhe jameen par……