Monday 24 September 2007

Gyarah Hindustaani(worldtwenty20 final)





"Gyarah Hindustani"

Vishwa cricket ka maha sangraam,
12 teamein bhedi,, pata nahi kya ho anjaam,
Purane jakhmon se aahat tha apna desh,
Kisi ne na socha ki, badal jayega unka wesh,

Chalegi aise hawa mastaani…
Kuch kar jayenge yeh "gyarah hindustani."

Barish mein bheeg gaya pehla mukabala,
Pak se bowl out jeete apne bowlers, wah subhanalla..
England ko toh uthne ka mauka na diya,,
6 chakkon ki ladi lagayee Yuvi ne,, Broad ka chain liya…
Naye bachhon se bhari Dhoni ki team,,,kisi ne na lee sawdhaani,
Kya pata tha,, chamatkaar karenge yeh "gyarah hindustani.."


Ab baari thi durban mein host se mukabale ki,
Dushman ke ghar mein use harana aasan na tha,
Chahiye thi 5 ungliyan mutthi ban jaane ki..
Bowlers ne dikhayaa kamal,,, har strategy kaam aaye,,kya baat hai Dhoni,
Badal se nikalte sooraj ke saaman the who "Gyarah Hindustaani"


Cricket ke badshaah ke saath khelna tha,
Jo kabhi na ho paaya, who karna tha,
Sreesanth ne dhool chatayee apne swing gendoon se,
Yuvraj ka balla phir bola, Bhajji ne bhi spin dali bade etminaan se..
Aussies ka ghamand toota,,,poore wishwa mein pheili hairaani,

Aa gaya wo din,, jiski parikalpana bhi na ki humne,
24 saal baad wohi din aaya, Khushnaseeb ho,, dekha yeh din tumne.
Kargil ki tarah,, yahan bhi jhanda lehraana tha,
Pakistaan se wrold cup ko le aana tha..


Pathan, RP ka jalwa phir se chala, Par Milsbul ke dhairya ke aage,kuch naa chala..
Phir thi who nirnaayak gend, Jogindar ke balll par Misbul ka revese sweep,
Par kise pata tha,, Sreensanth ne world cup ko hai lapka, sab ne rahat ki saaans le deeeep…
Sabka sar garv se kiya uppar,,,sach hai yeh,, naa hai koi kahaani,
Bharat mata ki jaye,, yen "Gyarah Hindustaani"

An Indian



Thursday 16 August 2007

Bharat mata ki jay

"Bharat mata ki jay"

Saath saal pehle hue swatantr apni maa,
Karodon ke khoon paseene se khili apni maa,

Kitne ghar jhulse, kitne rishtey bichade, lakhon suhag ujade hein,,,
Yeh balidaan vyarth na jaane paaye,,,
Phir se aao yaaron,, kahe " Bharat mata ki Jay".


Bapu ne dekha jis bharat ka sapna,
Us se bhi aage nikal aaya desh yeh apna,,,,,
Par saath hi badh gaya bhrastachaar,ugrawaad aur daridrata,,,
Ab bhi der nahi hue,sambahalo tiranage ki shaan na jaayee,
Sab saath milke chalo,,,kahe " Bharat mata ki jay"


Wahan Ugrawaadiyon ne dali wakr drishti…
Kaap uthi hai manawata, jal rahi hai poori sristhi..
Amrica, britain, mein lagi hai aag,,har taraf hahakaar hai,
Jago yaaron jaago,, apna desh es aag mein jhulas na paaye,
Mata pukar rahi hai,, aao kahe": " Bharat mata ki jay"….


Duniya mein doosri sabse takatwar apni fauz,,
Vignan mein bhi agrgani apna rashtra, karte hum naye naye khoz,
Chalo hum sab ek jootta se swatantra bharat ko paripoorna banaye,
Ek awaz mein, ek bhav se kahe"" Bharat mata ki jay"….


Indian….

Friday 3 August 2007

Happy friendship week- Apni dosti


"Apni dosti"

Ek sikke ke do hisse hum,
Kya astitva hai mera, jo nahi ho tum,
Es atut pyar ko dekh, duniya hai jalti,
Aisi hai apni dosti….

Tu kahen janma aur mein kaheen,
Par jahan do niswarth dil mile, asli jannat hai waheen,
Teri dosti hai bahut amulya,, nahi yeh sasti,
Yeh hai Apni Dosti…

Sukh mein ajnabi bhi dost kehte...
Dukh mein sab pehchane se bhi enkaar karte,
Par tu har waqt mere saath tha, chahe gum ho yah masti,
Salaam yaara, Apni dosti.

Teri dosti hamesha khaas rahegi,
Apne nason mein lahoo banke bahegi,
Dua karte hein,,sada rahe teri zindagi mein misthi,
Abaad rahe,, Apni dosti.

Your friend and poet.

Thursday 2 August 2007



"Vande Mataram"


Sone ki chidiya apna desh,
Prant, majhab, bhashayeen aur vividh hein vesh,,
Phir bhi ek ke ghav par lagaye duja maraham,
Vande mataram,,,, Vande mataram…….


Desh ki ajadi ka sahara bana yeh geet,
Bankim ki es kriti se li sabne seekh,
Desh ki ekta aur taakat hai yeh sangam,,,
Vande Mataram,,, Vande mataram…..


Har naujawan apne khusiyaan tyag,,,
Ho jaata swatatrata andolan mein bharti.
Bhagat, sukhdev, ajad ke khoon se
Rangi hai Bharat ki dharti……
Kya dhairya tha,, kya jam kham,,
Vande mataram,,, vande mataram…


Aaj ke shubawasr par, aao kare naman,
Apne sukh,,, shanti aur pranon ka jinhone kiya samarpan….
Desh ki gahanta aur shanti ka karenge rakshan,,,,
Aao yaaron, khayeen aaj yeh kasam.
Vande Mataram.. Vande mataram…..


Upcoming poet.
Sachin Rao

Relationships---Rishtey



"Rishtey"


Ek hi dharti par janam hua hamara,
Phir kya hamara, kya tumhara??

Hum sab ensaan hein, nahi farishtey…..
Jeewan mein esiliye awashyak hein yeh pyaare 'Rishtey…….'

Pehla rishta banta maa baap se,
Bachpan toh unhi ki chav mein kat jaata araam se….

Phir aata ek naya daur rishton ka,
Yaar dost bante hein naye, panapne lagta mehal sapnon ka….

Kuch dost ban jaate hein khaas,
Lagta hai, ki unke bin toh ley bhi naa paye sans…

Har sukh dukh ko unse baatein,
Zindagi ki raah par, phool ban jaye kaatein….

Shurvaat hoti hai phir rishton ke naye adhyay ki,
Pavitr bandhan mein mil jaate hein do dil,

Kahani shuru hoti hai, phir nauk jhok aur pyaar ki…
Kuch khatti , kuch meethi hota hai yeh rishta,

Kai janmon ke puny se banti hai yeh jodi,
Aasan nahi, bahut ubhad khabad hai yeh rasta..

Najuk daur se jude hote hein yeh risthey,
Shikayat, gusse ke thodi si maar bhi sah naa payenge yeh rishtey…

Rishtey banana,, bahut hai doobhar…
Jab ban jaye, toh tutne mat dena dilbar…..


Upcoming poet
Sachin Rao

Tribute to Black friday- Bomb



"Bomb "



Ek bhayanak rakshas ki hai yeh parchayeee,
Rakshas toh ab na rahe, par yeh to hai sachayeeee.

Data ne diya kai janmon ke baad yeh janam,
Eska upayog vinash ke liye kar rahe hein hum…….

Diwali mein bhi phode humne kai bumb,
Yeh bumb toh dete dil ko khushi,
Par jab who bomb phate , toh sab ho jaye numb…….

Mumbai ko kisi ki lagi nazar,
Ab dhadkan ko haath mein le, hoti hai zindagi guzar,


Bomb to phate sirf aath(8),
Par puri maha nagari ki lag gaye watt…….


Bangalore ka doosra naam hai shanti,
Khoon kharaba, bomb visphot, yeh nahi jantii,

Dushkarmiyoon ki lagi hai buri nazar esko,
Bomb ki jhooti jankari dete dete khush ho raha hai bereham,
Aise halaat mein, rakho ekta kayam,
Koi kuch bhi kahe,,, hum nahi khoyenge apna sayyam….

Esiliye kaha hai, mudaye lakh bura chahe kya hota hai,
Wahi hota hai jo manjoore khuda hota hai………..


Upcoming poet
Sachin Rao

Hamri Team India



Hamari Indian cricket team

Train se lambi batting line up,
Cycle se choti bowling backup,
doosri baar world cup ko pana hai enka dream,
Yahi hai hamari Indian team.


Coach aise badalte hein,
jaise badle bangalore ka mausam,
Ek din ke raja hain sabhi yahan,
2 match jeeto,,, media kahe team toh yeh awsome.

Chappel aur ganguly ki jugalbandi,
Dono the ek dusre ke pratidwandi.
Media mein dete aise statements, jo bhi pade, will be full of sentiments.
Rahul dravid hai wall, toh dhoni hai dhbi kamaal ka,
Sehwag bhi khelte hein kabhi kabhi, bhajji phekta doosra kamaal ka.
Etni takatwar team hamari, phir bhi they are busy driving ferrari.


Crucial movements mein ludke saare,
Aise jasie taash ke patte pyaare.
So, I tell don’t always go with the name,
It is our indian team.

Wednesday 1 August 2007

Smile--- hasi


Smile(hasi)

Diya data ne ek vardaan sabko,
Hasne ka hunar diya hai humko,


Hasi hasi mein zindagi jo kaate,
Woh sabke saath sukh baate.


Hasmukh chehra sabko bhaata,
Hasne se sabse jud jaata hai ek naata,


32 daaton ka khel suhana,
Haste rehne ke liye dhundo koi bahana.


Vibhinna prakaron ki hoti hai smile,
Friendly smile, arrogant smile aur heartly smile.


Manushya ka vyaktitva darshata hai smile,
Are has do logoon once in a while.


Mein aapse bangla gaadi nahi mangta,
Mangoon toh bhi nahi denge, yeh mein hun janta.


Ek hi gujarsh hai, hamesha haste rahiye,
Frustration, chinta aur dukh se thoda sa toh bachte rahiye…


Ubahrte(Upcoming) poet:
Sachin

Vidhi ka Khel- Drive safely

"Vidhi ka khel"

Ek sikka hai yeh zindagi,
Vidhata ke toss par khadi hai har khushi,,,


Ek taraf heads hai toh duji aur tails,
Kabhi bhi ukhad sakti hai zindagi ki bails…..


Vidhi ka vidhan kisi ne na jaana,
Aaj aaye hein, kal sabko hai jaana…..


Do din ki zindagi mein kya khoya, kya Paaya,
Yaar dost nahi, andhere me toh saath naa de hamara saaya..


Hum ensaanon ki hai yahi fitrat,
Jab bhi vippathi aaye,toh samjhe hum apnoon ki jaroorat.


Doston ko kabhi ginti se na gino,
Unhi ko dost mano, jinke saath tum pyaar ka rishta buno….


Meine kal dar ko badi najdeeki se dekha,
Kisi ko bhi tum thag lo, naa de paoge kismat ko dhoka…


Har saans hamari bahut kimti hai,
Aakhir hamare kandhon par kai zindagiyyon ki saas judi hai…


Sachin Rao

Drive safely… Always wear a helmet…..
Issued in friends interest by Sachin Rao.

Pyaar- Yeh dil ki baat hai



"Pyaar"


Jab din mein chain na ho,
Raaton mein neend na ho,
Toh samaj lena, jud gaya kisi se dil ka taar,
Es choti si khushi ko toh kehte hein "pyaar"………

Ek andekha sa chehra,
lagne lage zindagi ka sahara,
Dil kahe dekhe use baar baar,,,,
Esi ehsaaas ka toh naam hai "pyaar"..!!!

Kismat se milta hai koi aisa,
Jo tere dil ko dekhe, na dekhe soorat naa paisa…
Jatan karna, kho naa jaye who yaar,
Aakhir badi minnaton se milta hai yeh "pyaar"……!!!!

Duniya lakh sataye, who hamesha hai tere saath,
Chala gaya, toh na milega phir, tham lo uska haath.
Koi bhi jang jeet le, dil ko baaji mat haar,,
Choti si zindagi , mein ek baar toh kar lo " Pyaar"


Sachin rao

Tuesday 31 July 2007

Pyaari dosti- dedicated to an institution called "friendship"

"Pyari dosti"

Dukh dard bhare es jeewan mein,
Khusiyaan banke aaye ho tum,
Jis savare ki chahat thi hame,
Aas ki kiranoon ko saath laye ho tum….


Parivaar ke sadasya tum nahi,
Par mere dil ke kareeb ho kaheen…
Dil ki har baat tumse bayaan karta,
Tum toh wohi ho jo, mere dil ke khaali soone hisse bharta….


Dhoop se jhulaste es duniya mein, tum ho sheetal chaav,
Meri choti siii khushi mein tum, apni khushi milao…
Sab rishte nate nyochawar hein, teri dosti par yaara,
Saari duniya se mein jeet ta hoon, par teri dosti par mein haara.


Mere dost tere sukh ka mein saathi, aur dukh ka hissedar rahoonga,
Tere ek eshare par, saari duniya se mein ladoonga….
Tu mere jeewan ka atoot ang hai,
Laakh gum aaye jindagi mein, jab tu mere sang hai…


Hamari yaari par duniyawale naaz karenge,
Dost kya, dushman bhi es paak dosti par jalenge…
Koi taakat hame juda na kar sakti,
Sheesh jhukata hoon mein, yeh hamari "pyari dosti"


Aaapka Kavi

Sabse badi sachayee



"Sabse bada sachayee"

Duniya mein sab kuch hai nashwar,
Jo bhi hai, yaheen chod jaoge, chinta na kar,


Sab chale jayenge reh jayegi tanhayee.
Yahi toh hai,, jeewan ki 'sabse bdi sachayee'..


Backpan mein padhayee ki bhag daud,
Youwan ne dastak di, toh ladki ke peeche bhagne ki houd,


Laga ab sab thik hai, toh paise ki kami lagi khalne,
Ab sabun se kahan kaam chalega, chandan chahiye shareer malne..


Phir manpasand saathi dhundne ki chinta,
Khud jaise bhi ho, ladki bilkul jhakas mangta.


Sab kuch paane ki daud mein, kisne jaani jindagi ki gehrayee,
Sab bhul gaye , jindagi ki 'sabse badi sachayee'.


Mein bhi aap logon ka hissa hoon,
Aaj ki aaj dekho, kal ki nahi soichta hoon,,


Par do minto mein mili who seekh,
Pata chala,,vidhta hai data,
hum sab mang rahe jeewan ki bheekh.


Kuch hi kshanon mein jaana maut ki ruswayee,
Yaaron yahi hai jeewan ki 'sabse badi sachayee'


Har pal hum apnon ke liye jeete hein,
Har kaam,, apnon ki khushi ke liye karte hein,


Jindagi ek patli si dor hai,, sambhalo, kya pata kab ho jaye harjayee,
Hamesha yaad rahna jeewan ki 'sabse badi sachayee'
Aapka ubharta kavi