Tuesday 31 July 2007

Pyaari dosti- dedicated to an institution called "friendship"

"Pyari dosti"

Dukh dard bhare es jeewan mein,
Khusiyaan banke aaye ho tum,
Jis savare ki chahat thi hame,
Aas ki kiranoon ko saath laye ho tum….


Parivaar ke sadasya tum nahi,
Par mere dil ke kareeb ho kaheen…
Dil ki har baat tumse bayaan karta,
Tum toh wohi ho jo, mere dil ke khaali soone hisse bharta….


Dhoop se jhulaste es duniya mein, tum ho sheetal chaav,
Meri choti siii khushi mein tum, apni khushi milao…
Sab rishte nate nyochawar hein, teri dosti par yaara,
Saari duniya se mein jeet ta hoon, par teri dosti par mein haara.


Mere dost tere sukh ka mein saathi, aur dukh ka hissedar rahoonga,
Tere ek eshare par, saari duniya se mein ladoonga….
Tu mere jeewan ka atoot ang hai,
Laakh gum aaye jindagi mein, jab tu mere sang hai…


Hamari yaari par duniyawale naaz karenge,
Dost kya, dushman bhi es paak dosti par jalenge…
Koi taakat hame juda na kar sakti,
Sheesh jhukata hoon mein, yeh hamari "pyari dosti"


Aaapka Kavi

No comments: