Thursday 25 August 2011

Hum Tumhare Saath Hein

"Hum Tumhare saat hein"

60 saal se kya soye the sab?
sawaal yeh kyon uthta hai ab?

ek 74 saal ke bujurg ne hame uthaya,
sahi kya hai aur galat kya, hame bataya..

nishkalank, niswarth ho tum,
tumhari sahajta ke saamne kitne chote lagte hein hum,

har saal tiranga lehrate the, par es saal kuch naya tha,
mein sab me hoon,.. yen mahatma ne kaha tha..

paisa, aisho araam ki zindagi ke liye roj hum lad jhagadte,
desh ke liye kuch sochna pade, toh hamare kadam nahi badhte...

hum sab mein urja ka bahav sa ho chala hai,
kitni aag leke beitha hai, har hindustani ko ab pata chala hai..

poorab, pachhim , uttar, dakhsin,,, charon aur yehi hai naara,
bhrashtachaar ke rakshas se bachaana hai desh hamara..

ANNA,, tum ek kadam chalo toh hum 10 chalenge,,
tumhara margadarshan ho , hum kisi se na darenge..

bharat ko rog muqt banoge yeh hame vishwaas hai..
ANNA je aage badho, hum tumhare saath hein....